Wednesday, 19 February 2025

Mohabat use bhi thi

 Mohabat use bhi hai par mujse nahi ye khayal mujse jada use satata hai

narfart thi mere ziker se bhi uske kadardano ko 

wo jan bhuj kar bat meri  kar gussa unhe dilata tha

kantoo bara rawaiya tha uska mujse 

mashroof hu keh kar muje ,gantho khali waqt bitata tha 

baat nahi karta tha  has kar kabhi ,par meri batein kar mukurata tha ,

kehta tha koi or hai dil me usko,  tod dil mera khud mayus ho jata tha

puchta tha hal mera dosto se mere sunkar  khud tadap jata tha 

jab bikhar jati kabhi toot kar me ,to baith paas mere hausla mera badata tha 

sath usse nahi chaiye tha mera, par sath mere kisi or ko dekh kilas jata tha 

raho door mujse loog kehte they usse ,me uska aaks hu wo chik kar logo ko batata tha 

me jaan nahi paai ki usse mera kya tha ,par use mujme apna saya nazar ata tha

rakib use kehte they ki ab na dekho  wo meri aur ,par wo aksar meri gali se guzar jata tha 

ajeeb kashmakash me gujari hai humne jindagi apni 

akhir kya cahata tha wo or kya kar jata tha ..




Sunday, 16 February 2025

Dimak Kharab hai kya

 Itna ku bataya khudko ,kuch alag bat hai kya 

aise atak kar ku bol rahe ho ,pehli mulakat hai kya

labz kam or hasi jada hai ,muskurakar chuppani pade aisi koi bat hai kya 

or itna ku sajaya hai kudko aj jaise koi nayab kwabh hai kya 

kareeb jo itna aa rhe hai ab tum hizer ki raat hai kya 

or ye itni chahel pehel hai tumhre aas pass kushio ki saugat hai kya 

jo itni dhoom se nikal rahi hai tumhari barat hai kya 

hathose se badi jani pehchani kushboo a rahi hai ,mere guldaste ke gulab hai kya 

or kehte ho mujse jada mohabat hai use tumse ,uski aukaat hai kya

or kisi bhi rakib ke sahare tum hume bhula doge ,tumhara dimak kharab hai kya ....