chalte chalte tej dhoop me chaw ka yu mil jana acha sa lagta hai
chalte to sab apni akad me hai par kabhi kisi ke age pyar se sir jhukana acha saa lagta hai
duniya ki in chalakio me kabhi bacha sa hona acha sa lagta hai
or kache se bante in taluko me tera mera ye rishta bada pakka sa lagta hai
doob kar gehre pani se jaise kinare par ana acha sa lagta hai
waise hi uljhano ke in mushkil daur me tera yun mil jana accha sa lagta hai
yun mil kar mujse tera har dastaan keh dena acha sa lagta hai
or kehte kehte har bat kuch kas baton par tere yun chup ho jana acha sa lagta hai
karke bahane roj ajeeb tera yun milna mujse acha aa lagta hai
or bin bole har bat ankho hi ankho me sab keh jana bada acha sa lagta hai
soch kar in baton ko khud me hi muskurana acha sa lagta hai
raaj to nahi rakhti me par na jane ku teri baton ko sabse chupana acha sa lagta hai
shouk nahi hai muje ganto batein karne ka par tujko har baat batana acha sa lagta hai
or baton hi baton me tera yun pyar jatana bada acha sa lagta hai
jarurt nahi muje kisi ki par fer bhi tera yun sath nibahan acha sa lagta hai
yakeen nhi hai dikhawe ke rishton par muje fer bhi tera yun pyaar dikhana acha sa lagta hai
ku hai kya hai kaise hai ye nahi janti me na janna hai muje
par jane ku jo bhi sabse jada acha sa lagta hai .. ..