Baith ganto sath tere waqt bitana chahate hai
bina jijhak tuje apni har baat batana chahate hai
tere har uljhan me sath hai hum
teri hari kushi me muskurana chahate hai
jab lage kabhi akelapan tuje
tab khali pan ko bharna chahate hai
humari kwaisho ka hume pata hai
par hum tere khawabo me sawarna chahate hai
samjhte hai hum tuje pura jaan le tu
bus apni halat tuje samjhana chahate hai
badalte logo ke is daur me
sang tere waqt badlna chahate hai
kashmakash hai ek chahat apki
par hum isme kabhi girna kabhi sambhlna chahte hai
mana gehra bahut hai jazbatoo ka dariya ye
par fer bhi hum usme utarna chahte hai
mushkil hai tere dil me manjil apni
par fer bhi is safar se guzarna chahte hai
kawab hi sahi tu mera par soo dafa hum isme bikhrna chahte hai
chod nind chain karar apna
tere liye ratoo ko jagna chahate hai
kehte hai aag ka dariya hai ishq
koi na hum isme me jalna chahate hai
or kuch hai nahi kehne ko ab tu hi bata
kaise batao ki hum tuje kyu or kitna chahate hai ....