Monday, 18 March 2024

Tasveer

 Jab bhi hum wo tasveer banaya karte they 

khud bhi rangoo se bhar jaya karte they .

mudatto  dekha karte they asma ek tak 

chand taare humse jaan chudaya karte they .

waqt ki khabar rehti kise thi tab

hum gantoo mehfilo me sher sunaya karte they .

badnam bahut thi tab galiya e aashiqi 

 isliye hum ishq apna duniya se chupaya krte they .

dube rehte they hum soch ke gehre dariya me

or hastrato ke kinare aksar ajmaya krte they .

ped badi kamoshi se nihara karte they hume 

hum door kahi pahado me sham bitaya karte they .

bada kamal tha umar ka wo padaao 

jaha kudh se narajgi bhi hoti thi or khud me hi muskuraya krte they .

ye us daur ki batein  hai janab jab 

hum makaan kache or rishtey  pakay banaya krte they .




Wednesday, 13 March 2024

Ehsas

Bus isi ek dar se uski taraf dekti nahi ,

me jo gaur se dekhlu ek bar fer kabhi wo bhulti nahi.

agar man bhar gaya ho to chor jao mehfile meri

me bhi jane walo ko kabhi rokti nahi .

dil khol kar apne dil ki karlo har bat samne mere 

behke hue alfazoo ko me tokti nahi .

khayalat kab mere ban jaye  arzoo ye dil

isliye bare me uske jada me sochti nahi .

gehre to hai zazbat mere bhi 

par jane smje koun isliye zada kuch bolti nahi.

kapne lagte hai labz mere sochte hi use

abhi to kareeb uske baithti nhi .

kat liya ek umar ka lamba daur mene

or kambakhat ek rat hai jo yad bina uske kat ti nahi.

ek nazar me dil churane ki ada raktha hai wo 

isliye galion se uske me  guzarti nahi .

ab kudha hi bachaye muje nasha e mohabbat se 

suna hai ye wo purani shrab hai jo chad jaye ek bar fer utarti nahi .