Tuesday, 30 April 2024

Charcha

Baat to nashe ki chal rahi thi
or baat hum teri ankho ki kar ayee
jab bola koi sukoon hai kha ajkal
to yaad hum teri bahoon ko kar ayee...

charcha to bus hatiyar e katal ka hua to 
or ziker hum teri adaoon ka kar ayee
or jo utha sawal humare thikane ka 
to bat hum teri panhaoon ki kar ayee...

wo bole kya wajah hai tumhari haal kheriyat ki 
to ziker hum teri duaaon  ka kar aye 
or pucha kisi ne khas kya hai tujme aise 
to fer baat hum teri wafaoon ki kar ayee....


Monday, 29 April 2024

Aayega

 In bhikri hui mouje ka kinar bhi ayega 

is gehri kali raat ka savera bhi  ayega 

waqt ka kya hai  kabhi humara bhi ayega 

mere hisse me aaye they  ache din

puchna tha dubara bhi kabhi ayenga....


takungi baith pehro jisko wo nazara bhi ayega

fer khil uthengi kaliya  baag ki fer mousam bahara bhi ayega

suna hai sham hote hi laut ate hai apne gosle ko fer

humare gar ka  panchi awara bhi ayega 


gaur se dekhti hu uski our me ki  koi ishara bhi ayega

kwaisho  ko  kabool karne ko mera koi sitara to ayega

aye raste katne wale na kaat raste ko gar se mere 

kabhi is raste se guzar koi humara bhi ayega



Thursday, 25 April 2024

Aass

 Muje umeed thi aaoge tum 

par kahi or kadam bhar rahe they tum

sunne ko ahat tumhari jakhne lagi hi ti 

fer ilm hua  ke rasta hi badal rahe they tum....


me aas me thi ki gehra hai taluk apna 

fer weham hua ki bus guzara kar rahe they tum

fasi thi mazdhar me naiya meri 

or yakeen tha muje ki kinara kar rahe they tum..


yaha sambhal rahe they hum tukde dil ke apne 

or jante they oro ke liye sawar rahe they tum

fer bhi laga shayd samet lu bikhra hua sab

lekin jan gay they oro ki panaho me bikhar rahe they tum.


ab kya kahu tumse dil me utarne wale

ab dil se hi jaise utar rahe tum

guman tha tumhe ki me baekhbar hu in sab se

par khabar thi muje ki ab badal rahe they tum...



Wednesday, 24 April 2024

Dastaan

 ek pal ke liye hi sahi khayal use mera aya to hoga 

apni parchai me fer kahi aaks mera paya to hoga 

kar yad fer guzri wqt ko thoda hichkichaya to hoga 

or wo daur e ashiqi kahi usne fer douraya to hoga....


pyar jo tha use mujse usne kahi or jataya to hoga

toda  tha jo wada mujse kahi  kisi se nibaya to hoga 

kwab jo dekha tha mene uske liye  usne fer sazaya to hoga 

fer usi ki tarah tod dil kisi ne uska usko rulaya to hoga ..



fer azma kar sari duniya ko samaj usko  aya to hoga 

kahi na kahi bichad kar mujse wo  pachtaya to hoga 

jaha aksar sath gujara krte they waqt hum 

wha jaker akele wo thoda gabraya to hoga ....


fer yaad kar ke muje wo thoda dukhi or thoda muskuraya to hoga 

nahi me bewafa nahi tha ,keh kar khudse sharmaya to hoga 

or sunkar kissa dusre se meri tabahi kaa

mane na mane wo , usko sitam apna yaad aya to hoga ....



Thursday, 18 April 2024

wo tabiyat nahi rhi

Mangna kya hi ab kisi se kuch , ki ab koi chahat na rahi .
ki wo yaade ,wo khwab kya ,ab kisi ki koi hasrat na rahi 
gumaan bhi utar gay hai sare ab koi adawat na rahi
gile gubar  na raha kuch ,kisi se koi shaikayat na rahi 

Zindagi bhi katti ja rhai hai khud ba khud ,jaise koi jarurat  na rahi 
kisi se umeed ,kiski arzoo kya , ke ab koi mohabat na rahi 
taakna chor diya hai khuda ko bhi jaise koi ibadat na rahi 
shant hai mudato se man bada jaise koi bagawat na rahi 

viran pada hai gar aangan kbse mera isme  ab wo sazawat na rahi 
mudkar dekhna chor diya , ki awazoo ki  wo rukawat na rahi 
de har bat ka jawab hum kisi ,ki ab humme bhi wo sharaft na rahi ..
akele rehni ki adat itni ho gai hai ab ,ki sath rehne ki kisike  adat na rahi 

log puchte hai akasar khoye rehte ho tum , 
ab koun samjaye  unko 
wo silsile wo shaouk wo nusbat na rahi 
wo dil nahi raha ,wo tabiyat na  rahi ...