Mere chupe hue har raaj me ek raaj tum bhi ho
Meri har ubharti hui aas me ek aas tum bhi ho
Tum kya ho mere ,kuch ho bhi ya kuch nahi
Bus mere har kaash me ek kaash tum bhi ho
Haajar kisse hai jo mere usme ek kissa tum bhi
Meri zindagi ki chapti hui kitaab ka ek hissa tum bhi ho
Dabe hue zajbato me ek zajbat tum bhi ho
Sapno ki nagri me mere ek khwab tum bhi ho
In roj ki dhalti hui shaam ki ek raat tum bhi ho
Bhut kuch kehno ko hai hai jissme ek baat tum bhi ho
Nahi maloom rabta kya hai apna kuch hai bhi ya kuch nhi
Bus samjha itna hai agar me hui khi to mujme kuch tum bhi ho
Awesome 😍
ReplyDelete