Thursday, 8 August 2024

Badal Gaya .

Ye jo katra katra kar bikhar gya  wo dil se jine wala shaqs  kidar gya 

kaha gai jinda dili uski , wo mousam hasin kaise badal gya ..

aaj hal e wqt jo uska badla hai ,wo halato me aisa  ulajh gaya 

jo hath  tham sambalta tha sbko ,wo khud kaise itna bikhar gaya 

har masle ka hal dundh lata tha kbhi jo ,jane kya khoya usne jo  khud hi wo kho gya 

dil dhadkta tha uska bhi patthar nhi wo ,ek bar ji bahr kar wo bhi to roo gya 

na samjh sake shayd halat uski hum , isliye wo sab seh kar chup reh gaya 

shayd sota nahi hai ab ratoo me wo ,shayd gum andhero me kahi ho gaya 

chehere par ood chadar haasi ki , har dard khud me seh gaya 

wo gira sambla .chala halat se apne lad gaya ,

ab asar nahi hota uspe kisi bat ka. ab shayad door wo itna nikal gaya 

ab fark nahi pdta kuch bhi badal jane se usse , wqt badlne wala ab khud hi itna badal gya ... 



Wednesday, 7 August 2024

Thori Na

 masle to kai hai  hai par itna malal thori na hai

ye nain  bus rone ki shidat se laal thori na hai 

gehraiyaa-e raaz dikti hai yaha logo ki ankho me bahut 

ye bewajah ke sawal thori na hai 

or wari hai  kai zindagi yaha chahato me 

ye yaha yuhi itna bawal thori na hai 

bus khudki fiker me hi hai har koi  

yaha kisi ko kisi ka khyal tori na hai 

or kat rahi hai umar bina kwaishoo ke

hal e zindagi yuhi behaal thori na hai 

par kutar diye jate hai aksar udne se pehle hi 

ya khauf ka alam hai shouk ye wisal thori na hai 

karna hi hai to kro raaj- e-hukumat dilo par 

yu riyaste jitna koi misaal thori na hai 

haar ko bhi gale se lagana sikho muskurakar 

har roj jitna hi kamal thori na hai ...