masle to kai hai hai par itna malal thori na hai
ye nain bus rone ki shidat se laal thori na hai
gehraiyaa-e raaz dikti hai yaha logo ki ankho me bahut
ye bewajah ke sawal thori na hai
or wari hai kai zindagi yaha chahato me
ye yaha yuhi itna bawal thori na hai
bus khudki fiker me hi hai har koi
yaha kisi ko kisi ka khyal tori na hai
or kat rahi hai umar bina kwaishoo ke
hal e zindagi yuhi behaal thori na hai
par kutar diye jate hai aksar udne se pehle hi
ya khauf ka alam hai shouk ye wisal thori na hai
karna hi hai to kro raaj- e-hukumat dilo par
yu riyaste jitna koi misaal thori na hai
haar ko bhi gale se lagana sikho muskurakar
har roj jitna hi kamal thori na hai ...
No comments:
Post a Comment