Monday, 18 March 2024

Tasveer

 Jab bhi hum wo tasveer banaya karte they 

khud bhi rangoo se bhar jaya karte they .

mudatto  dekha karte they asma ek tak 

chand taare humse jaan chudaya karte they .

waqt ki khabar rehti kise thi tab

hum gantoo mehfilo me sher sunaya karte they .

badnam bahut thi tab galiya e aashiqi 

 isliye hum ishq apna duniya se chupaya krte they .

dube rehte they hum soch ke gehre dariya me

or hastrato ke kinare aksar ajmaya krte they .

ped badi kamoshi se nihara karte they hume 

hum door kahi pahado me sham bitaya karte they .

bada kamal tha umar ka wo padaao 

jaha kudh se narajgi bhi hoti thi or khud me hi muskuraya krte they .

ye us daur ki batein  hai janab jab 

hum makaan kache or rishtey  pakay banaya krte they .




4 comments: