Jab bhi hum wo tasveer banaya karte they
khud bhi rangoo se bhar jaya karte they .
mudatto dekha karte they asma ek tak
chand taare humse jaan chudaya karte they .
waqt ki khabar rehti kise thi tab
hum gantoo mehfilo me sher sunaya karte they .
badnam bahut thi tab galiya e aashiqi
isliye hum ishq apna duniya se chupaya krte they .
dube rehte they hum soch ke gehre dariya me
or hastrato ke kinare aksar ajmaya krte they .
ped badi kamoshi se nihara karte they hume
hum door kahi pahado me sham bitaya karte they .
bada kamal tha umar ka wo padaao
jaha kudh se narajgi bhi hoti thi or khud me hi muskuraya krte they .
ye us daur ki batein hai janab jab
hum makaan kache or rishtey pakay banaya krte they .
Lines 🪬❤️
ReplyDeleteAap toh shayar ban gai🥹
ReplyDeleteHaha Kuch kuch
DeleteAwesome ❤️
ReplyDelete