ki wo yaade ,wo khwab kya ,ab kisi ki koi hasrat na rahi
gumaan bhi utar gay hai sare ab koi adawat na rahi
gile gubar na raha kuch ,kisi se koi shaikayat na rahi
Zindagi bhi katti ja rhai hai khud ba khud ,jaise koi jarurat na rahi
kisi se umeed ,kiski arzoo kya , ke ab koi mohabat na rahi
taakna chor diya hai khuda ko bhi jaise koi ibadat na rahi
shant hai mudato se man bada jaise koi bagawat na rahi
viran pada hai gar aangan kbse mera isme ab wo sazawat na rahi
mudkar dekhna chor diya , ki awazoo ki wo rukawat na rahi
de har bat ka jawab hum kisi ,ki ab humme bhi wo sharaft na rahi ..
akele rehni ki adat itni ho gai hai ab ,ki sath rehne ki kisike adat na rahi
log puchte hai akasar khoye rehte ho tum ,
ab koun samjaye unko
wo silsile wo shaouk wo nusbat na rahi
wo dil nahi raha ,wo tabiyat na rahi ...
Awesome πππ
ReplyDeleteThanku
DeleteAmazing
ReplyDeleteπ€ππ½
ReplyDelete