Thursday, 18 April 2024

wo tabiyat nahi rhi

Mangna kya hi ab kisi se kuch , ki ab koi chahat na rahi .
ki wo yaade ,wo khwab kya ,ab kisi ki koi hasrat na rahi 
gumaan bhi utar gay hai sare ab koi adawat na rahi
gile gubar  na raha kuch ,kisi se koi shaikayat na rahi 

Zindagi bhi katti ja rhai hai khud ba khud ,jaise koi jarurat  na rahi 
kisi se umeed ,kiski arzoo kya , ke ab koi mohabat na rahi 
taakna chor diya hai khuda ko bhi jaise koi ibadat na rahi 
shant hai mudato se man bada jaise koi bagawat na rahi 

viran pada hai gar aangan kbse mera isme  ab wo sazawat na rahi 
mudkar dekhna chor diya , ki awazoo ki  wo rukawat na rahi 
de har bat ka jawab hum kisi ,ki ab humme bhi wo sharaft na rahi ..
akele rehni ki adat itni ho gai hai ab ,ki sath rehne ki kisike  adat na rahi 

log puchte hai akasar khoye rehte ho tum , 
ab koun samjaye  unko 
wo silsile wo shaouk wo nusbat na rahi 
wo dil nahi raha ,wo tabiyat na  rahi ...


4 comments: