Wednesday, 31 July 2024

Kya hai ...

 Khud ko luta do or mohabat ka kasara kya hai 

Jaan hi to gai hai isse jada hara kya hai

manji tair gay kabke  beech majdhar se ab bhwar me sahara kya hai 

or ye jo zeher e ashiqi utri hai rag rag me meri 

zara bataye koi iska utara kya hai 

kya hi dekhenge is jahan me uski hasi se hasin nazara kya hai 

guzar di uski kwaish me har kwaish humari isse mehna guzara kya hai 

na jane dete hai door wo na gale se lagate hai hume 

baith sath batao na akhir tumko gawara kya hai 

or bhuj gai har roshan diye noor ke mere 

isse bada mohabat ka kafara kya hai 

or jo puch le hum koi sawal unse 

to has kar kehte hai masla tumhra hai humara kya hai 

or wafadari me jinki ek umar kati hai hume 

wo kehte hai tum to pagal ho tumhara kya hai ...

1 comment: